Wednesday, 18 June 2014

Matlab nikal gaya hai toh pehchante nahin

Matlab nikal gaya hai toh pehchante nahin
yun ja rahe hain jaise hamen jaante nahin
apni garz thi jab toh lipatna qabool tha
baahon ke daayare mein simatna qabool tha
ab hum mana rahe hain magar maante nahi
humne tumhe pasand kiya .. kya bura kiya

rutba hi kuch buland kiya .. kya bura kiya
har ek gali ki khaak toh hum chaante nahin

muh pher ke na jaao hamare qareeb se
milta hai koi chahne wala naseeb se
is tarah aashiqon pe kamaan taante hain
matlab nikal gaya hai toh pehchante nahin
yun ja rahe hain jaise hamen jaante nahin....

No comments:

Post a Comment